Tuesday, July 17, 2007

JPEng Kii Kahaani Meri Zubaani


@Hey Bhaggu (aka. Ritu... Thanks for this lovely work...)

JPEng Kii Kahaani Meri Zubaani

Yeh Degree Bhi Leylo Yeh Naukri Bhi Lelo
Bhaley Chheen Lo Mujhse USA Ka VISA
Magar Mujhko Lautaa Do College Ka Canteen
Voh Chaai Ka Paani Voh Pyaaz Ka Samosaa

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalnaa
9 Baje Ki Class Mein Late Aana
Aur Phir Traffic Ka Bahaana Banaanaa
Voh Project Ki Khatir Shehar Bhar Bhataknaa
Voh Lecture Mein Doston Ki Proxy Lagaanaa
Voh Sir Ko Chidhanaa, Voh Aeroplane Udaanaa
Blackboard Mein Na Jaane Kya-Kya Likhna - Aur Usae Na Mitaanaa


Voh Submission Ki Raaton Ko Jaagnaa-Jagaanaa
Voh Assignment Ki Kahaani, Voh Practical Ka Kissaa
Bimaari Ka Reason De Ke Time Badhanaa
Voh Doosron Ke Assignments Ko Apnaa Banaanaa
Voh Seminar Ke Din Koenae Mein Baithkar Mobile Se Khelna
Yaan Ek Doh Jhapki(Neend)Maar Lena
Voh Darpan Mein Din Raat Pasinaa Bahanaa
Jo Aadho Ke Kaam Na Aana

Voh Exam Ke Din Ka Bechaen Maahaul
Library Mein Jaate He Ghantiyaan Bajnaa
Phir Library Chod Bahar Aake Last Moment Mein
Ek Dusrae Ko Nayee Topic Chedkar Daraana
Raat Bhar Ek Dusrae Ko Yehi Kehna Ki "I Just Started... Lots To Do"
Par Voh maa Ki Vishwaas - Teacher Ka Bharosaa
Voh Exams Ke Aakhri Din Theatre Mein Jaanaa


Voh Paedon Ke Neeche - Island Mein Gappe Ladaanaa
Voh Narru Sir Ko Discussion Ke Bahaane Se Birds Park Le Jaana
Voh Raaton Mein Practical Record Banaanaa
Voh 'Bhole' Se Freshers Ko Hamesha Sataanaa
Without Any Reason Mass Bunk Karnaa Aur Phir Daant Khaana
Test Ke Waqt Idhar-Udhar Jhaankna Aur Phir copy Karna
Isii Tarah Teachers Ko Sataana-Rulaana

College Ke Bahar Ki Sabse Puraani Nishaanee
Vo Chaai-Bajji Ki 'Shine-si' Dukaan
Voh Baarish Mein Bheegte Huae Ek
Chaai Meethee - Aur Bajji, Ka Mazaa Uthaana
Voh Bhool Se Record Mein Galtiyaan Karna
Voh Dekhte Hi Uska Bhadakna-Chilaana
Voh Chehre Ki Laali, Voh Aankhon Ka Gussaa



College Ki Voh Saari Lambiisii Raatein
Voh Doston Se Kiosk-Ivy Mein Pyaari Si Baatein
Voh Sweat-Shirt Ka Discussion Jisme Ladnaa Jhagadnaa
Voh Ladkiyon Ka Yuheen Hamesha Akadnaa
Bhulaaye Nahin Bhool Sakta Hain Koiee
Voh College, Voh Baatein, Voh Sharaaratein, Voh Javaani
Kaash Hum Phir Dohra Sakte Kahaani
Vo Kaagaz Ki Kashti, Voh Baarish Ka Paani




...wish those days would come back once again *sigh*...

5 comments:

Blue said...
This comment has been removed by the author.
all or nothing said...

:-)
So pretty ra. And so true.

Istar Rómestámo said...

Thank you :)

Anonymous said...

Naresh Rao sir will be missed the most...

Istar Rómestámo said...

I know...
:(
I miss him SO much!!!!!!!